baat sach-much mein nirali ho gai ab nasihat ek gali ho gai ye asar hum par hua is daur ka bhawna dil ki mawali ho gai dal din bhuke ko jis mein rotiyan wo samajh puja ki thaali ho gai tai kiya chalna juda jab bhid se har nazar dekha sawali ho gai qaid ka itna maza mat lijiye ro padenge gar bahaali ho gai ek amawas hi to thi apni hayat mil gae tum to diwali ho gai hath mein qatil ke 'niraj' phul hai baat ab ghabrane wali ho gai