kaha ye kis ne ki ab mujh ko tum se pyar nahin ye aur baat hai tum par wo ikhtiyar nahin mere to apne hi aangan mein panw zakhmi hue mujhe yahan pe kisi par bhi e'tibar nahin tamam umr kati teri rah takte hue kuchh aisa haal hai khud apna intizar nahin kabhi ke khatm hui e'tibar ki duniya kisi ke waste ab koi be-qarar nahin chaman mein kaisi hawa chal rahi hai ab ke baras gulon ke chehron pe pahla sa ab nikhaar nahin suluk-e-dost ne kya aisa kar diya hai 'kiran' ki umr kat gai dil ko magar qarar nahin