aankh ho aur koi khwab na ho nazil aisa kahin azab na ho kuchh to mahfuz rakhiye sine mein zindagani khuli kitab na ho sarf kije na is qadar khud ko lakh chaho to phir hisab na ho is liye katta hun ye ghadiyan waqt ki chaal kaamyab na ho gunj kaisi hai kohsaron mein ye kisi chikh ka jawab na ho kya chamakta hai tapte sahra mein dekh chhu kar kahin ye aab na ho ye jalan pith mein hai kyun 'faruq' pusht par teri aaftab na ho