tumhaare qasre-azadi ke memaron ne kya paya jahan-bazon ki ban aai jahan-karon ne kya paya sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga utha magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paya naqib-e-ahd-e-zarrin sirf itna mujh ko batla de tulu-e-subh-e-nau bar-haq magar taron ne kya paya junun ki baat chhodo is gae ghar ka thikana kya fareb-e-aql o hikmat ke parastaron ne kya paya sar-afraazi mili ahl-e-hawas ki parsai ko magar teri mohabbat ke gunahgaron ne kya paya khilaune de diye kuchh aap ne dast-e-tamanna mein ba-juz dagh-e-jigar aaina-bardaron ne kya paya mili sar phodte hi qaid-e-hasti se bhi aazadi rukawat dal kar zindan ki diwaron ne kya paya hamare samne hi baith kar 'faruq' masnad par hamin se puchhte ho phir ki ghaddaron ne kya paya