aasman par bane the chehre se log yaad aae bhule-bisre se kitne suraj zamin mein soe nur phutega zarre zarre se aankh mein aa gaya hai ek aansu dasht sairab ek qatre se sabz-mausam hai sahn mein lekin zard-rut jhankti hai kamre se umr kitni bhi ho magar shohrat baz aati kahan hai nakhre se gham bhi darwesh ho gaya 'faruq' kam nikalta hai apne hujre se