tabiat bujh gai jab se tere didar ko tarse agar ab nind bhi aati hai uth jate hain bistar se hamein mashuq ko apna banana tak nahin aata banane wale aaina bana lete hain patthar se zaban se aah nikli dil se nala aankhon se aansu magar ek teri dhun hai jo nikalti hi nahin sar se are nadan sachcha chahne wala nahin milta wo laila thi ki jis ko mil gaya majnun muqaddar se milan-sari bhi sikho jab nigah-e-naz pai hai meri jaan aadmi akhlaq se talwar jauhar se khuda ki shan matlab-ashna aise bhi hote hain buton ne ban ke but sajda karaya pahle but-gar se safi' ko muskura kar dekh lo ghusse se kya hasil use tum zahr kyon dete ho jo marta hai shakkar se