aankh jhapki jo samundar ki nigahbani mein ek zamin jhum ke ubhri thi khule pani mein jism chhan-chhan ke numudar hue jate hain koi parda hai meri aankh ki uryani mein dhup guzri to mere sahn se hat kar guzri raat thahri to kisi kunj-e-bayabani mein abr barsa to kai roz barabar barsa dasht sairab hua aalam-e-hairani mein