zamin khushk hai aasman so raha hai gham-e-zindagi hai jahan so raha hai na shab ki siyahi na hai roz-e-raushan zamin hai fasurda zaman so raha hai garajte hain baadal tadapti hai bijli machi dhum aisi aman so raha hai chaman jalwa-gar hai nawa-sanj bulbul bade lutf se mehrban so raha hai chaman ki har ek shakh-e-nau muntazir hai shuaon ka kyon karwan so raha hai siyahi ye kaisi jahan mein hai phaili ilahi tu is dam kahan so raha hai halawat na hai 'tashna' ab guftugu mein kahan tu mere jaan-e-jaan so raha hai