andhera itna nahin hai ki kuchh dikhai na de sukut aisa nahin hai jo kuchh sunai na de jo sunna chaho to bol utthenge andhere bhi na sunna chaho to dil ki sada sunai na de jo dekhna ho to aaina-khana hai ye sukut ho aankh band to ek naqsh bhi dikhai na de ye ruhen is liye chehron se khud ko dhanpe hain mile zamir to ilzam-e-bewafai na de kuchh aaise log bhi tanha hujum mein hain chhupe ki zindagi unhen pahchan kar duhai na de hun apne-ap se bhi ajnabi zamane ke sath ab itni sakht saza dil ki aashnai na de sabhi ke zehn hain maqruz kya qadim o jadid khud apna naqd-e-dil-o-jaan kahin dikhai na de bahut hai fursat-e-diwangi ki hasrat bhi 'wahid' waqt gar izn-e-ghazal-sarai na de