na sani jab mazaq-e-husn ko apna nazar aaya nigah-e-shauq tak le kar payam-e-fitna-gar aaya kaha la-raib badh kar ilm-o-danish ne aqidat se jo bazm-e-ahl-e-fan mein aaj mujh sa be-hunar aaya sar-e-mahfil churana mujh se daman is ka zamin hai nahin aaya agar mujh tak ba-andaz-e-digar aaya bahut ai dil teri rudad-e-gham ne tul khincha hai kabhi wo but bhi sunne ko ye qissa mukhtasar aaya hamari ek khata ne khuld se duniya mein la phenka agar dar-pesh duniya se bhi phir koi safar aaya main khud hi bewafa hun be-adab hun apna qatil hun har ek ilzam mere sar ba-alfaz-e-digar aaya mukaddar kuchh faza 'gulzar' dilli mein sahi lekin kahin ahl-e-zaban hum sa bhi urdu mein nazar aaya