aankh khuli to mujh ko ye idrak hua khwab-nagar ka har manzar saffak hua jism o jaan ka sara qissa pak hua khaki tha main khak mein mil kar khak hua mujh par shak karne se pahle dekh to le mera daman kis jaanib se chaak hua ek hi pal mein ja pahuncha duniya se par dubne wala sab se bada tairak hua tukdon tukdon bant raha hai chehre ko tut ke shisha aur bhi kuchh be-bak hua raat ko main ne din karne ki thani hai meri zid par suraj bhi namnak hua kaisi mohabbat kaisa talluq dhong hai sab man ke alawa har rishta napak hua din mein nikalna chhod diya us ne bhi aaj ka jugnu bachchon se chaalak hua