mujrim hai tumhaara to saza kyun nahin dete is shakhs ko jine ki dua kyun nahin dete is ped ke sae mein bhi kyun itni ghutan hai hain sabz ye patte to hawa kyun dete jis khun mein aa jae safedi ki milawat us khun ko aankhon se baha kyun nahin dete aaine satate hain to chehre ko na dekho aankhon mein chamak hai to bujha kyun nahin dete is arsa-e-khamosh mein hum tanha khade hain hai dard hamara to sada kyun nahin dete kuchh log jo pichhe hain wo panjon pe khade hain qad apna ye thoda sa ghata kyun nahin dete hai aag ka ye khel to phir sochna kaisa khud apna badan aap jala kyun nahin dete wo baat jo padhte rahe aankhon mein hamari wo sare zamane ko bata kyun nahin dete