aankh ki dahliz se utra to sahra ho gaya qatra-e-khun paniyon ke sath ruswa ho gaya khak ki chadar mein jism o jaan simatte hi nahin aur zamin ka rang bhi ab dhup jaisa ho gaya ek ek kar ke mere sab lafz mitti ho gae aur is mitti mein dhans kar main zamin ka ho gaya tujh se kya bichhde ki aankhen reza reza ho gain aaina tuta to ek aaina-khana ho gaya ai hawa-e-wasl chal phir se gul-e-hijran khila sar utha phir ai nihaal-e-gham sawera ho gaya ai jamal-e-fan use mat ro ki tan-asan tha teri duniyaon ka 'khawar' sarf-e-duniya ho gaya