aur duniya mein hum ne kya dekha sirf tera hi rasta dekha us ne suraj se chaar kin aankhen jis ne manzar tha raat ka dekha siskiyan chand ki sunin hum ne jab sitaron ko tutta dekha mere daman mein pyas kitni thi main ne dariya ka rasta dekha husn dekha to ungliyan katin kya karenge agar khuda dekha har shikan phut phut kar roi raat phir khwab-e-karbala dekha aks apna dhuan dhuan paya aaj 'tariq' jab aaina dekha