dilasa de ke bahlaya hai dil ko

dilasa de ke bahlaya hai dil ko
badi mushkil se samjhaya hai dil ko

tere gham ne jo chamkaya hai dil ko
misal-e-aina paya hai dil ko

teri ulfat mein ai jaan-e-tamanna
zamane bhar se takraya hai dil ko

khirad se be-talluq ho gae jab
junun ki rah mein paya hai dil ko

zahe-qismat ki haq-goi ka jazba
maqam-e-dar tak laya hai dil ko

kisi ne bazm mein nichi nazar se
salam-e-shauq pahunchaya hai dil ko

wafa walon ne gham ki laj rakkhi
wafa walon ne apnaya hai dil ko

kisi ne pher kar dil se nigahen
na puchho kitna tadpaya hai dil ko

hamesha rahrawan-e-agahi ne
charagh-e-rahguzar paya hai dil ko

kabhi jazbaat ka paikar banaya
kabhi baaton mein uljhaya hai dil ko

'nigar' us shokh ne apni nazar se
khudi ka raaz samjhaya hai dil ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close