ajab thin manzilen jin se guzar kar lai hawa hi baam se mujh ko utar kar lai meri sarisht ki zid ne dikhaya rang apna khizan ki mauj ko mauj-e-bahaar kar lai nigah phand gai bagh-e-dil ka darwaza samar bhi shakh-e-tawajjoh se par kar lai kinare aa to gaya main magar hayat meri har ek salib se mujh ko guzar kar lai khayal-e-khushk ne sairab hona chaha to ye aankh jama kai aabshaar kar lai mah-o-nujum ne koshish bahut ki rokne ki falak se mujh ko meri khu utar kar lai bikherte rahe hum aur hawa ki zinda-dili jab aai jama hamara ghubar kar lai main jis ko chahta tha ye parinda wo to nahin ye kis ko meri tamanna shikar kar lai haris-e-saat-e-khush-dida thi so mere liye gul-e-fasurda ko 'yawar' sanwar kar lai