aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai ek firdaus-e-nazara aap ki mahfil mein hai har jafa teri munasib har sitam tera durust ab wahi meri tamanna hai jo tere dil mein hai jab ba-juz mahbub ho jati hai ojhal kaenat ek maqam aisa bhi jazb-e-shauq ki manzil mein hai fasl-e-gul mein be-tahasha hansne walo hoshiyar iztirab-e-dil ka pahlu bhi sukun-e-dil mein hai jis ko duri se huzuri mein siwa ho iztirab wo pareshan-e-mohabbat kis qadar mushkil mein hai dahr ke hangama-e-shaikh-o-barahman se buland aur bhi hangama ek girdab-e-nuh-e-dil mein hai ab koi shayan-e-jalwa hai na shayan-e-kalam tu usi manzil mein behtar hai ki jis manzil mein hai na-saza hai is ke jalwon ki nazakat ke liye wo gham-e-hasil jo tere ishq ke hasil mein hai main to khud uthne ko hun badlo na andaz-e-nazar tum jo kahte hichkichate ho wo mere dil mein hai apne markaz se sitaron par jo karta hun nazar jis ko jis manzil mein chhoda tha usi manzil mein hai mom kar deti hai jo faulad-o-ahan ka jigar wo bhi ek jhankar aawaz-e-shikast-e-dil mein hai kaun hai 'ehsan' meri zindagi ka raazdar kya kahun kis tarah marne ki tamanna dil mein hai