chamakte suraj uchhaalte the kahan gae wo jo shamen subhon mein dhaalte the kahan gae wo badan mein larzish ki din dhala ja raha hai phir se jo din se gardish nikalte the kahan gae wo abhi to hathon mein hiddaten un ke hath ki hain abhi to hum ko sambhaalte the kahan gae wo utarte the ghubar-e-lail-o-nihaar rukh se aur aainon ko ujalte the kahan gae wo wo shakhche chhu ke sabz karne ke fan se waqif jo phul hathon mein palte the kahan gae wo jo ism padhte the raushni ka siyah-shabon mein jo lau charaghon mein dalte the kahan gae wo