ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai hua hai kaun nam-zad nazar nazar ki baat hai gul o sitara o qamar sabhi hasin hain magar hai kaun in mein mustanad nazar nazar ki baat hai izafi e'tibar hai tayyun-e-maqam bhi hai past bhi buland-qad nazar nazar ki baat hai bure bhale mein farq hai ye jaante hain sab magar hai kaun nek kaun bad nazar nazar ki baat hai zamin agarche bistar-e-gul-o-saman bhi hai magar kisi ko hai yahi lahad nazar nazar ki baat hai koi chale tamam umr koi sirf do qadam kahan hai manzilon ki had nazar nazar ki baat hai