is shahr-e-be-niyaz ke logon ki khu na puchh kis kis ada se karte hain dil ka lahu na puchh ahl-e-wafa ki karte hain kya kya ye khatiren khud mil ke un ko dekh kabhi mujh se tu na puchh lagti hain har gali mein mohabbat ki boliyan bikti yahan hai jins-e-wafa ku-ba-ku na puchh ek aan mein hi dil ka jazira jhulas gaya shahr-e-badan mein aisi chali gham ki lau na puchh aab-e-hayat se bhi kada hai tera husul main phir bhi teri karta hun kyon justuju na puchh 'nasir' tumhaari zat ki khatir jahan mein kis kis ko main ne apna kiya hai adu na puchh