kya karun zarf-e-shanasai ko main taras jata hun tanhai ko khamushi zor-e-bayan hoti hai rasta dijiye goyai ko tere jalwon ki farawani hai aur kya chahiye binai ko un ki har baat bahut mithi hai munh lagate nahin sachchai ko ai samundar main qatil-e-gham hun jaanta hun teri gahrai ko baitha rahta hun akela yunhi yaad kar ke teri yaktai ko khinch le jate hain kuchh diwane apni jaanib tere saudai ko uf tamasha-gah-e-duniya 'azim' kitni fursat hai tamashai ko