aankh mein tera aks tere hi ek khayal se tut gaya jhil ka chand to machhli ki halki si chaal se tut gaya chahne walo pyar mein thodi aazadi bhi lazim hai dekho mera phul ziyaada dekh-bhaal se tut gaya mushkil daur mein apnon par dawe-dari bhi kya karte patjhad aai to har patta apni dal se tut gaya kachche sapnon se achchha hai pakki ninden so lena aise khwab ko kya rona jo palak ke baal se tut gaya dil ke aage aql ki sari chaalen phiki hoti hain dekho raja adna se piyaade ki chaal se tut gaya tut gaya yun aankh se aansu hijr ke dhadke se 'alam' jaise ghungru table ki pahli hi tal se tut gaya