hawa mein phirte ho kya hirs aur hawa ke liye ghurur chhod do ai ghafilo khuda ke liye gira diya hai hamein kis ne chah-e-ulfat mein hum aap dube kisi apne aashna ke liye jahan mein chahiye aiwan o qasr shahon ko ye ek gumbad-e-gardun hai bas gada ke liye wo aaina hai ki jis ko hai hajat-e-simab ek iztirab hai kafi dil-e-safa ke liye tapish se dil ka ho kya jaane sine mein kya haal jo tere tir ka rauzan na ho hawa ke liye tabib-e-ishq ki dukkan mein dhundte phirte ye dardmand-e-mohabbat teri dawa ke liye jo hath aae 'zafar' khak-pa-e-'fakhruddin' to main rakhun use aankhon ke tutiya ke liye