honton ke sahifon pe hai aawaz ka chehra saya sa nazar aata hai har saz ka chehra aankhon ki guphaon mein tadapti hai khamoshi khwabon ki dhanak hai mere hamraaz ka chehra main waqt ke kohram mein kho jaun to kya gham dhundega zamana meri aawaz ka chehra suraj ke badan se nikal aae hain sitare anjam mein bedar hai aaghaz ka chehra palken hain ki sargoshi mein khushbu ka safar hai aankhon ki khamoshi hai ki aawaz ka chehra