taraj khwahishon ka mudawa na ho saka koi hamare waste isa na ho saka itni shadid dhup thi mujh pe ki umr-bhar abr-o-darakht se kabhi saya na ho saka nindon mein chhod kar hamein aage nikal gaya hum se us ek khwab ka pichha na ho saka guzre phir ek bar to donon ke darmiyan wo waqia jo tur pe pura na ho saka dahkan-e-gham ne khun se sinchi zamin-e-dil lekin ye dasht dasht tha sabza na ho saka