aankh un ko dekhti hai nazara kiye baghair parde mein chhup gae hain wo parda kiye baghair har-chand dard-e-ishq ka darman nahin magar banti nahin hai fikr-e-mudawa kiye baghair zahid se puchhiye gham-e-duniya ki azmaten uqba na mil saki gham-e-duniya kiye baghair jate hain dil mein chhod ke wo jalwa-e-khayal bujhti hai shama ghar mein andhera kiye baghair aksar to dil giraftagi-e-shauq ki qasam mujh tak wo aa gae hain irada kiye baghair hum ko bhi dekhna hai ki ye munkarin-e-ishq kab tak rahenge teri tamanna kiye baghair sher-o-adab ki rah mein hai gamzan 'shakil' apne mukhalifin ki parwa kiye baghair