aankh se is fikr mein hota nahin pani juda ek din ho jaegi mujh se meri beti juda maujib-e-furqat wahan bhi dana-e-gandum hi tha aur aksar yan bhi hum ko karti hai roti juda wadi-e-dil tak nazar aaegi ek chhoti lakir kar rahe ho aankh se tum jis tarah pani juda baad-o-baran ne bhi us se dil-lagi kya khub ki jo uda kar le gain chhatri juda chunari juda khwahishon par phir musallat ho gae duniya ke gham ho raha hai dil se dhire dhire phir koi juda der se milta hai jo rishton ke mele mein hamein jaane ho jata hai kyon hum se wahi jaldi juda ud gain murghabiyan par us taraf baithe hue ek ladke ko sabhi se kar gai goli juda barhami rishton ki shadi ke dinon mein aam hai jo bhi kar lo panw se hoti nahin pagdi juda