anjam-e-wafa bhi dekh liya ab kis liye sar kham hota hai nazuk hai mizaj-e-husn bahut sajde se bhi barham hota hai mil-jul ke ba-rang-e-rang-e-shir-o-shakar donon ke nikharte hain jauhar dariyaon ke sangam se badh kar tahzib ka sangam hota hai kuchh ma-o-shuma mein farq nahin kuchh shah-o-gada mein bhed nahin hum baada-kashon ki mahfil mein har jam ba-kaf jam hota hai diwanon ke jubba-o-daman ka udta hai faza mein jo tukda mustaqbil-e-millat ke haq mein iqbaal ka parcham hota hai mansur jo hota ahl-e-nazar to dawa-e-baatil kyun karta us ki to zaban khulti hi nahin jo raaz ka mahram hota hai ta-chand 'suhail' afsurda-e-gham kya yaad nahin tarikh-e-haram iman ke jahan padte hain qadam paida wahin zamzam hota hai