agarche main khat-e-jada pe ek gard-e-safar hun khatakta hun magar phir bhi ki manzil ki khabar hun ye mauj-e-khun hai sairabi-e-dil ka ek ishaara so ek khak-e-numu-rafta pe hi mahw-e-safar hun ye umr-e-khak-paima ek tamanna se bhi kam hai so kitni khwahishon se main abhi tak be-khabar hun khule hain rang-e-imkanat aainda ke mujh par nirali meri khushbu hai main mitti ka shajar hun jamal-e-saat-e-sad-rang ko main sher kar dun main kab se is junun-angez ke zer-e-asar hun tah-e-satar-e-tamanna dekh lun dil ka tadapna ziyaada to nahin itna to main sahib-e-nazar hun