aankh tumhaari mast bhi hai aur masti ka paimana bhi ek chhalakte saghar mein mai bhi hai mai-khana bhi be-khudi-e-dil ka kya kahna sab kuchh hai aur kuchh bhi nahin hasti se manus bhi hun hasti se begana bhi husn ne tere duniya mein kaisi aag laga di hai barq bhi shoala barpa hai raqs mein hai parwana bhi wusat-e-wahshat tang hui bigda ghar diwanon ka najd ke ek saudai ne lut liya virana bhi aaj mohabbat ruswa hai hathon se hoshyaron ke ishq ki pahli duniya mein tha koi diwana bhi dil ki duniya hilti hai roko apni nazron ko kafir lute leti hain aaj tajalli-khana bhi gardish mast nigahon ki aakhir wajd-angez hui chakkar mein 'saghar' bhi hai daur mein hai paimana bhi