aankhen asir-e-khwab thin khwab ek hi se the har ek jaan pe ab ke azab ek hi se the rah-e-wafa-e-shauq mein wamandgi ke baad jo bhi mile the khar-e-gulab ek hi se the bainassutur un ke maani juda na the jitne bhi mukhtalif the nisab ek hi se the wo to kahin nahin the jinhen dhundhta tha main jo rah gae the zer-e-naqab ek hi se the kis kis se aur puchhte us shahr ka pata wo jo hamein mile the jawab ek hi se the barse to wo bhi pyas ki shiddat badha gae mere liye to sare sahab ek hi se the