dard-e-dil ke sath kya mere masiha kar diya be-qarari badh gai hai jab se achchha kar diya kya ajab thi un ke pakiza tabassum ki kiran qalb ki tarik basti mein ujala kar diya jab na un ke raaz-e-wahshat tak pahunch pai nazar hosh walon ne junun walon ko ruswa kar diya nafraton ki had bana kar apne mere darmiyan wo bhi tanha rah gae mujh ko bhi tanha kar diya ab to had se badh gai thin apne dil ki uljhanen muskura kar aap ne gham ka mudawa kar diya har-nafas baad-e-sahar ki tarah maujen le utha kya kisi ne un ki aamad ka ishaara kar diya dekh kar saqi ki mastana nigahi ai 'guhar' zindagi ko hum ne waqf-e-jam-o-mina kar diya