dard-e-dil la-dawa nahin hota han magar hausla nahin hota gham khushi rang zindagi ke hain raat bin din naya nahin hota raushni se chhupate hain chehre jab andhera zara nahin hota chand yaaden hain kuchh jawan sochen kaun tanha sada nahin hota thahre pani to gadle hote hain kyun kahun wo juda nahin hota rahte hain ek ghar mein hi lekin muddaton samna nahin hota muskuraun to sab 'umar' hamdam gham mein ek aashna nahin hota