aasman-zad zaminon pe kahin nachte hain hum wo paikar hain sar-e-arsh-e-barin nachte hain apna ye jism thirakta hai bas apni dhun par hum kabhi aur kisi dhun pe nahin nachte hain apne rangon ko tamashe ka koi shauq nahin mor jangal mein hi rahte hain wahin nachte hain tan ke dere mein hai jaan mast qalandar ki tarah wahime thak ke jo rukte hain yaqin nachte hain kab se ek khwab hai aankhon mein ki tabir bhi hai us mein gate hain makan aur makin nachte hain