aankhen bhi mand thin mera dil bhi figar tha hae wo shakhs jis ka mujhe intizar tha mansub umr-e-rafta ye eazaz kam nahin ek shakhs muntaha-e-gham-e-e'tibar tha jab ghair ke liye na raha tera lams-e-ghair phir tera intizar bhi aankhon pe bar tha tarikiyan nasib thin isyan-e-zist ko raushan jo tha wo meri wafa ka hisar tha pahle-pahal jo rabt tha jannat sa apne beach phir ye khula wo ishq na tha kar-zar tha phir yun hua ki us ne bhula hi diya mujhe karta bhi kya gila main use ikhtiyar tha 'afaq' wo juda bhi hua tha to zoam se phir us ko yaad karna bhi ek shahkar tha