aankhen bichhae mere liye dar koi na tha bhatka hun yun ki jaise mera ghar koi na tha har shakhs chahta tha ujalon ka pairahan khwabon ki is fasil se bahar koi na tha khud-e'timadiyan thin meri justuju ke sath mathe pe mere sabt muqaddar koi na tha apni hi soch thi jo unhen kar gai azim warna to aasmani payambar koi na tha