mujh pe koi mehrban hai aaj-kal ab sukun-e-dil kahan hai aaj-kal dil mein koi mehman hai aaj-kal aarzu phir se jawan hai aaj-kal baat agli si kahan hai aaj-kal ab takalluf darmiyan hai aaj-kal tum nahin to lutf-e-aish-e-zist kya zindagi bar-e-garan hai aaj-kal jo nazar thi dawat-e-lutf-o-wafa jaane kyon tir-o-kaman hai aaj kal aansuon ko zabt kar bhi lun magar dil to majbur-e-fughan hai aaj-kal jis jagah sajde kiye the ishq ne husn nam-dida wahan hai aaj-kal iltifat-e-husn-o-kaif-e-wasl-e-dost ek bhuli dastan hai aaj-kal barq-o-baran sab isi ke waste kya yahi ek aashiyan hai aaj-kal hai farishton ka pahunchna bhi muhaal ek dil-e-nadan jahan hai aaj-kal raaz-e-dil main ne chhupaya bhi magar un ki nazron se ayan hai aaj-kal kar len ab ahl-e-chaman khud intizam mushkilon mein baghban hai aaj-kal ek dil-e-pur-soz-e-'mauj' aur bahr-e-ishq aag pani mein rawan hai aaj-kal