aankhon mein hijr chehre pe gham ki shikan to hai mujh mein saji hui magar ek anjuman to hai sanson ko us ki yaad se nisbat hai aaj bhi mujh mein kisi bhi taur sahi bankpan to hai har subh chahchahati hai chidiya munder par viran ghar mein aas ki koi kiran to hai mumkin hai us ka wasl mayassar na ho mujhe lekin is aarzu se mera ghar chaman to hai har waqt mahw-e-raqs hai chehra khayal mein be-rabt zindagi hai magar dil magan to hai har lamha us se rahta hun masruf-e-guftugu kahne ko mere sath koi ham-sukhan to hai mere liye ye baat hi kafi hai ai 'rawish' kuchh bhi ho mujh mein ab bhi mera apna-pan to hai