aankhen lahuluhan kin daman bhi tar kiya teri har ek baat ne dil par asar kiya kuchh to tabiatan bhi the aawara-gard hum kuchh teri justuju ne hamein dar-ba-dar kiya yun to hamare sath kai log the magar kanton bhari zamin pe tanha safar kiya hum ne hi apne khun ka ghaza diya tujhe hum ne hi tujh ko sinf-e-ghazal mo'atabar kiya kis ne hamari rah mein kante bichha diye kis ne hamari rah ko dushwar tar kiya aakhir udasiyon ke siyah abr chhat gae koi to hai hamara ki shab ko sahar kiya sachchaiyon mein lipte hue jhut ke sabab mushkil se e'tibar ke jangal ko sar kiya