ab ke socha hai ye dastur nirala rakkhun tum qarib aao to main fasla thoda rakkhun nit nae uzr se tum mujh ko mana lete ho hon nae uzr to kyon bughz purana rakkhun bistar-e-hijr pe hiddat se tasawwur ke jo khud mom sa pighle main shab bhar wo sarapa rakkhun likhne baithun jo mohabbat ka fasana main kabhi unwan 'resham' ho magar zikr tumhaara rakkhun