aankhon aankhon kat gai raat dil ki dil mein rah gai baat tane tohmat ilzamat ishq ne bakhshi ye saughat gesu abru aariz lab husn ke dilkash mauzuat ishwe ghamze naz-o-ada husn ke kya kya unwanat yaaden sapne aansu karb ishq ke apne mamulat akdi chhakdi bhula hai dil ne khai aisi mat qabu pana mushkil hai aise machle hain jazbaat kothon kothon chadhti hai munh se jab bhi nikle baat mujh par un ki chashm-e-karam us ke kab hain imkanat aahen aansu sadme gham mujh par un ke ehsanat kis ne kya kya paya hai apni apni taufiqat duniya kaisi lagti hai apne apne mahsusat jis ki lathi us ki bhains sari duniya ke haalat daur-e-hazir mein 'bebak' hum jaison ki kya auqat