dhundhta hai tu aasman mein kya koi tera nahin jahan mein kya uf ye sannata dil ke aangan mein koi rahta nahin makan mein kya ab jo wo muskura ke milta hai tir joda hai phir kaman mein kya mujh se kyon mera haal puchho ho kuchh kami pai aan-ban mein kya rozi mehnat se wo kamane laga kuchh nahin aata ab lagan mein kya be-sabab bad-zaban bolta hai jhol hai us ke khandan mein kya phul se us ke munh se jhadte hain bola wo 'mir' ki zaban mein kya apni manzil na pa sake 'bebak' kuchh kami rah gai udan mein kya