kis ehtiyat se hum raushni mein dub gae khuli jo aankh to phir tirgi mein dub gae ajib taur se ras aaya umr ka dariya isi se par lage the usi mein dub gae wo jahilana takallum pe sarfaraaz hua hum apne lahje ki shaistagi mein dub gae badalna hoga ab andaz apne rone ka tamam bachche achanak hansi mein dub gae ajib chiz thi rangini-e-fareb-e-bahaar jidhar nigah uthi sadgi mein dub gae samajh mein aaya na un ko shanawari ka mizaj samundaron se nikal kar nadi mein dub gae wo jin ke dam se ujalon ka tha bharam ai 'shan' ghazab hua ki wahi tirgi mein dub gae