narawa tha na-munasib tha magar achchha laga bewafa ek dushmanon ki pusht par achchha laga wo achanak laut aaya tod kar rasm-e-firaq garmiyon mein sard mausam ka samar achchha laga lag gai shayad mujhe aawargi ki bad-dua laut kar ab ke main aaya hun to ghar achchha laga har kisi se hans ke milna khush-dili se bolna mera dushman hai magar us ka hunar achchha laga ye mohabbat hai meri ya us ka hai koi kamal jis qadar parkha use wo us qadar achchha laga aane wale mausamon ki sakhtiyon ke zikr par us ke chehre par akele-pan ka dar achchha laga ab ke us ke qurb ki jannat bhi dekhi pas se ab ke mujh ko khwab-zaron ka safar achchha laga mere bare mein mujhi se puchhta hai wo 'naim' is khabar ke daur mein ek be-khabar achchha laga