aankhon ke iztirab se aise jhade hain khwab shab ke shajar pe nind ki surat pade hain khwab aati nahin hai nind mujhe is liye bhi dost aankhon ki putliyon mein hazaron jhade hain khwab nikla na phir bhi koi natija bahaar ka tabir se agarche bahut hi lade hain khwab jab bhi chala hun nind ke raste pe yun laga hathon ko jod kar mere aage khade hain khwab dil se ghamon ka is liye chhaala na ja saka kanton ki misl chashm-e-talab mein ade hain khwab tujh ko kahan khabar hai ki kaise hain ratjage tujh ko kahan khabar hai ki kitne kade hain khwab is bar bhi yahan khas-o-khashak ki tarah aankhon mein jis qadar the wo sare sade hain khwab aaya nahin 'nabil' palat ke wo ek shakhs ranjida is liye bhi hamare bade hain khwab