nikli jo ruh ho gae ajza-e-tan kharab ek shama bujh gai to hui anjuman kharab kyun dalta hai khak ki hoga kafan kharab main hun safed-posh na kar pairahan kharab ji mein ye hai ki dil hi ko sajde kya karun dair-o-haram mein log hain ai jaan-e-man kharab nazuk dilon ka husn hai rang-e-shikastagi phatne se kab gulon ka hua pairahan kharab duniya ne munh pe dala hai parda sarab ka hote hain daud daud ke tishna-dahan kharab iblis se ye kahta hai lanat ka tauq roz aadam kharab ya sifat ma-o-man kharab kya khushnuma ho khizr badhe gar libas-e-umr qad se jo ho daraaz to ho pairahan kharab mera salam-e-ishq alaihis-salam ko khusraw idhar kharab udhar kohkan kharab yusuf ke husn ne ye zulekha ko di sada lo ungliyan katin wo hue tana-zan kharab gar bas chale to aap phirun apne gird mein kabe ko ja ke kaun ho ai jaan-e-man kharab zakhmi hua hai nam ko dar-parda husn bhi yusuf ka khun-e-gurg se hai pairahan kharab wada kiya hai ghair se aur wo bhi wasl ka kulli karo huzur hua hai dahan kharab ai khak-e-gor dekh na dhabba lage kahin rakh dun abhi utar ke gar ho kafan kharab kaisi bhi ho zamin ajab hal hai tab-e-tez 'mail' jo boen hum na ho tukhm-e-sukhan kharab