jaanib-e-manzil safar mein raushni si hai abhi is andheri raat mein bhi chandni si hai abhi jo hamare dil mein hai wo bujh lenge khud kabhi baat kya samjhaiye jo an-kahi si hai abhi hai wahi dhadkan purani par meri sanson mein kyun ek nai khushbu hai mano tazgi si hai abhi kya wahi aaegi le kar chilchilati dopahar ek suhani dhup jo lagti bhali si hai abhi ho sake dohraiye na baat jo sachchi lage dushmani ban jaegi jo dosti si hai abhi