aankhon ke kanwal lab ke chaman-zar bahut the diwane magar sair se bezar bahut the hum log kadi dhup ke shaidai the warna yun sar ko chhupane dar-o-diwar bahut the har shakhs ke chehre pe kai chehre the chaspan tujh jaise tere shahr mein ayyar bahut the tuta hua pul ret ki diwar hawa tez lagta hai ki basti mein gunahgar bahut the alfaz ada karti rahin bolti aankhen chup rah ke bhi wo mail-e-guftar bahut the aankhon ke darichon mein haya jag rahi thi soe the kuchh aise ki wo bedar bahut the wo shakhs to har gam pe deta raha dhoke tum phir bhi 'nawed' us ke parastar bahut the