aankhon ke khwab dil ki jawani bhi le gaya wo apne sath meri kahani bhi le gaya kham-cham tamam apna bas ek us ke dam se tha wo kya gaya ki aag bhi pani bhi le gaya tuta talluqat ka aaina is tarah aks-e-nashat-e-lamaha-e-fani bhi le gaya kuche mein hijraton ke hun sab se alag-thalag bichhda wo yun ki rabt-e-makani bhi le gaya the sab usi ke lams se jal-thal bane hue dariya muda to apni rawani bhi le gaya ab kya khulegi munjamid alfaz ki girah wo himmat-e-kashud-e-maani bhi le gaya sar-joshi-e-qalam ko 'faza' chup si lag gai wo jate jate shola-bayani bhi le gaya