bahut dinon se hamara khwabon se koi bhi rabta nahin hai kuchh aise kar-e-jahan mein khoe ki apna bhi kuchh pata nahin hai ye na-umidi ki intiha hai ki aagahi ki hai koi manzil ye dil ko kya aariza hua hai ise kisi se gila nahin hai hamesha sach bolne ki aadat hai kya ye sach bolte rahenge qadam qadam par hai aazmaish sahal koi marhala nahin hai hum un ki har baat man lete to zindagi chain se guzarti bas izzat-e-nafs rokti hai ana ka ye masala nahin hai bas ek pareshan hujum ke sath hum bhi shamil hain chal rahe hain na koi naqsh-e-qadam salamat kahin koi rasta nahin hai ye sham itni ujad kyun hai naya koi hadisa hua hai ye khun ki surkhi shafaq ke rangon mein ghul gai be-wajah nahin hai sitara-e-subh dhundte hain ghubar-aluda mausamon mein nazar se ojhal to ho gaya hai magar abhi gum-shuda nahin hai jo mil gaya wo nasib samjha jo mil na paya sarab jaana guzar len jo bhi zindagi hai ki kal ka koi pata nahin hai yunhi bhatakte phirenge kab tak khud apne andar talash kar len jahan mukammal sukun mayassar ho aisi koi jagah nahin hai